uljhanen
By bano-tahira-sayeedJanuary 2, 2024
aadmi aaj bhi sad-haif ki insan nahin
aisi uljhan hai sulajhne ka kuchh imkan nahin
kaif kya jine mein jab kaif ke saman nahin
zindagi mein koi naghma nahin ruman nahin
aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein
zar-parasti ki ada 'am hai dil-daron mein
khankhanate hue sikkon ka tarannum hai 'aziz
ghair se ghair-hijabana takallum hai 'aziz
chaar paison ke liye uf ye talatum hai 'aziz
aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein
khwaja-e-shahr hai yusuf ke kharidaron mein
ufuq-e-dil pe mohabbat ki ghataen na rahin
‘ishq-o-ikhlas ki pakiza fazaen na rahin
ab wo sahra na rahe aur wo hawaen na rahin
qissa-e-qais to baqi hai wafaen na rahin
aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein
kash aa jae masiha koi bimaron mein

81695 viewsnazm • English