wo subh kabhi to aaegi un kali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal dhalkega jab dukh ke baadal pighlenge jab sukh sagar chhalkega jab mera jhum ke nachega jab dharti naghme gaegi wo subh kabhi to aaegi jis subh ki khatir jag jag se hum sab marmar ke jite hain jis subh ke amrit ki dhun mein hum zahr ke pyale pite hain in bhuki pyasi ruhon par ek din to karam farmaegi wo subh kabhi to aaegi mana ki abhi tere mere armanon ki qimat kuchh bhi nahin mitti ka bhi hai kuchh mol magar insanon ki qimat kuchh bhi nahin insanon ki izzat jab jhute sikkon mein na toli jaegi wo subh kabhi to aaegi daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaega chahat ko na kuchla jaega ghairat ko na becha jaega apne kale kartuton par jab ye duniya sharmaegi wo subh kabhi to aaegi bitenge kabhi to din aakhir ye bhuk ke aur bekari ke tutenge kabhi to but aakhir daulat ki ijara-dari ke jab ek anokhi duniya ki buniyaad uthae jaegi wo subh kabhi to aaegi majbur budhapa jab suni rahon ki dhul na phankega masum ladakpan jab gandi galiyon mein bhik na mangega haq mangne walon ko jis din suli na dikhai jaegi wo subah kabhi to aaegi faqon ki chitaon par jis din insan na jalae jaenge sine ke dahakte dozakh mein arman na jalae jaenge ye narak se bhi gandi duniya jab sowarg batai jaegi wo subh kabhi to aaegi