umr mahdud hai

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
ek cigarette nahin jeb mein
late hone ka matlab
bujhana hai ab bidiyan mang kar mujh ko apni talab
phir chali


do qadam chal ke phir ruk gai meri chhakda si train
kya hua puchhta hun
cross hai koi kahta hai mujh se
aur main


phir se ek bar niche utar kar
tahalne laga
patriyon ke kinare pade pattharon par
badbadata hua


yun to jaldi pahunch ke bhi ghar
kaam koi nahin hai
magar is se kya
'umr to meri mahdud hai


aur jab 'umr mahdud hai
koi kaise ghadi ki taraf dekhna chhod de
16818 viewsnazmEnglish