urus-ul-bilad

By mehr-husain-naqviFebruary 27, 2024
ek jazira zamin ke sine par
hai jo aabaad raushni se hai
jis ki sadkon pe raat der talak
zindagi daudti hai bhagti hai


zindagi raat raat jagti hai
chae-khanon pe shab-guzaron ke
qahqahe gunjte hi rahte hain
is ki shamen hasin hoti hain


is maqam-e-hasin ke basi
chashni hai zaban mein jin ki
pasban ye amir khusrau ke
'mir'-o-'ghaalib' ke raazdan-e-sukhan


warisan-e-zaban-e-urdu hain
gholte hain mithas baaton se
apna lahja hasin rakhte hain
ek tahzib hai saqafat hai


is ke khanon ki apni lazzat hai
aur phir husn ki tamazat hai
dekhne wale dekhte hain kahin
is ke sahil pe raunaq-e-duniya


khelti hansti ghul machati hui
man-chale hanste muskuraate hue
zindagi ki ghazal sunate hue
raunaqon ke asir rahte hain


jis ko kahte the log kolachi
ab wo sahil kinare basta shahr
jaana jata hai shahr-e-qaid se
log jis ko karachi kahte hain


77714 viewsnazmEnglish