ushshaq-e-KHirad-mand

By ali-ejaz-tamimiApril 22, 2023
sune ajdad se qisse
tere mahbub bandon ke
kai majzub bandon ke
fana ke jam lete the


wafa se kaam lete the
baqa ko tham lete the
kabhi suli pe aate the
kabhi sahra ko jate the


kabhi raqs-e-nadamat tha
yunhi murshid manate the
anal-haq ki sadaen thin
visal-e-yar pate the


mohabbat hi mohabbat thi
na gham tha pet bharne ka
na shikwa roz marne ka
jahan ne rang-o-dhang badle


manazir dam-ba-dam badle
qadam bahke qadam badle
idhar ahl-e-jahan badle
khuda badla sanam badle


mohabbat ki bajae mal-o-zar pe jaan dete hain
hamare ahd ke ushshaq
ab ruswa nahin hote
kabhi tanha nahin hote


haqiqat man lete hain
kabhi duniya se ladte the
magar ab maslahat se kaam lete hain
12389 viewsnazmEnglish