malgaji arz-e-gham zard sa aasman aur ufuq-ta-ufuq aur shafaq-dar-shafaq surmai baadalon mein udasi ke rang us ke kamre ke mahaul mein ek malal-afrin kaifiyat us ki nargis si aankhon mein larzan hinai nishan al-aman is ka ghuncha-dahan adh-khule phul sa us ke rukhsar par surkhiyon ki phaban aur burraq hathon pe rakhi hui zindagi wo meri zindagi dard ke silsile phul afsurda kaliyan nidhaal khandaron ki misal baam ujde hue hairaton ke safar hijraton ke nagar aur be-rang afsurda pazhmurda atraf ka shor-o-shar us ki yaadon ke dukh us ki duri ke gham na-rasai ke arman aur karb ki dhund mein us ki hijrat ke dukh main jo paltun to mazi ki bezariyan baal khole hue matami rang mein par-fishan ek barzakh ki wo raat thi gunjti raat thi jabki kamre mein sab jama the us ne mujh se kaha chalo aaj bahar ka mausam bahut dil-nashin hai