ustad ka DanDa

By syeda-farhatNovember 22, 2020
chhin le hath se ustad ke danda koi
badle dande ke khila de hamein anda koi
anda khane se lahu jism mein badh jata hai
chust hota hai badan zehn nikhar jata hai


danda lekin hamein kya faeda pahunchata hai
jism ko deta hai dukh zehn ko uljhata hai
chhin le hath se ustad ke danda koi
badle dande ke khila de hamein anda koi


kis qadar dete hain dukh hum ko ye hae dande
sari duniya se khuda ab to mita de dande
hai wo ustad bura jo ki jamae dande
hai wo shagird bhi buddhu ki jo khae dande


chhin le hath se ustad ke danda koi
badle dande ke khila de hamein anda koi
ab na school mein dande ki khudai hogi
sare dandon ki zamane se safai hogi


zor se dande ke hargiz na padhai hogi
ab to school mein andon ki khilai hogi
chhin le hath se ustad ke danda koi
badle dande ke khila de hamein anda koi


lad gaya ab to wo andon ka zamana sahab
ho chuka ab to tariqa ye purana sahab
jo mohabbat ka na gur aap ne jaana sahab
phir to dushwar hua padhna padhana sahab


chhin le hath se ustad ke danda koi
badle dande ke khila de hamein anda koi
sar pe dande paden hargiz na ye uftad aae
talib-e-ilm na karta hua fariyaad aae


kash bhula hua shafqat ka sabaq yaad aae
bap ke rup mein school mein ustad aae
chhin le hath se ustad ke danda koi
badle dande ke khila de hamein anda koi


93336 viewsnazmEnglish