uT-paTang

By gulzarOctober 30, 2020
kanon ki ek nagri dekhi jis mein sare kane dekhe
ek taraf se ahmaq sare ek taraf se siyane the
kanon ki is nagri ke sab rit riwaj alahada the
rog alahada basti mein the aur ilaj alahada the


do do kane mil kar pura sapna dekha karte the
ganga ke sangam se kane jamuna dekha karte the
chandni raat mein chhatri le kar bahar jaya karte the
os gire to kahte hain wan sar phat jaya karte the


dariya pul par chalta tha pani mein railen chalti thin
languron ki dum par anguron ki belen pakti thin
chhut ki ek bimari phaili ek dafa un kanon mein
bhuk ke kide sunte hain nikle gandum ke danon mein


roz kai kane bechaare marte the bimari mein
kahte hain raja sota tha sone ki almari mein
ghanti bandh ke chuhe jab billi se daud lagate the
pet pe donon hath baja kar sab qawwali gate the


tab kani bhains ne phul phula kar chheda bin ka baja
aur kala chashma pahan ke singhasan par aaya raja
dukh se chashme ki donon hi aankhen pani pani thin
dekha us kane raja ki donon aankhen kani thin


jhuta hai jo andhon mein kana raja hai kahta hai
ja kar dekho kani nagri andha raja rahta hai
78142 viewsnazmEnglish