uTho naujawano

By abul-fitrat-meer-zaidiSeptember 2, 2024
andhere hatao ujale bichhao
sadaqat se apne watan ko sajao
tumhaare liye ne'maten hain jahan ki
chalo sath mil ke nasib aazmao


khudi bhi tumhaari khuda bhi tumhaara
khuda ke liye jaan par khel jao
tumhein rahmaton ka sahaara milega
mohabbat se mehnat ka jadu jagao


phir aawaz iflas ki aa rahi hai
badho apni dharti pe sona ugao
khayalat ko ek markaz pe lao
utho naujawano watan ko bachao


ye amn-o-aman ke talabgar bande
ye mazdur bande ye ji-dar bande
ye sabir ye shakir ye zakir ye zahid
ye din-e-ilahi ke me'mar bande


abhi ro rahe the abhi hans rahe hain
ye majbur bande ye mukhtar bande
nigahon mein apne samae hue hain
fareb-e-nazar mein giraftar bande


gulistan mein hain jo gulon ke muhafiz
unhen aaj un ki haqiqat batao
gae waqt ka aaina bhi dikhao
utho naujawano watan ko bachao


mohabbat mein nafrat se bach kar chalenge
kudurat mitegi to saghar chalenge
zabardast hain zer-daston pe hawi
ki teghon ke sae mein khanjar chalenge


mohabbat ko bhi harf-e-akhir na samjho
mohabbat se aage bhi soz-e-sukhan hai
jahannum ke sho'le bhadakne se pahle
sada aa rahi hai ki tan ko bachao


kharabe se sehn-e-chaman ko bachao
utho naujawano watan ko bachao
idhar inqilabi taqaddus badhega
udhar chand taron ke chakkar chalenge


ujale mein har khel khelo khushi se
andhere se pahle magar chal chalenge
dar-e-mai-kada band hone na dena
agar tod sakte nahin tut jao


phir apne khuda ko sahaara banao
utho naujawano watan ko bachao
yahi pak dharti hamara watan hai
isi ki taraqqi hamari lagan hai


jiyale jawanon ki danishwaron ki
yahi anjuman hai yahi anjuman hai
shuja'at ke qisse kahan tak sunaun
jawani ki khushbu chaman-dar-chaman hai


54993 viewsnazmEnglish