jine ka haq samraj ne chhin liya uttho marne ka haq istimal karo zillat ke jine se marna behtar hai mit jao ya qasr-e-sitam pamal karo samraj ke dost hamare dushman hain inhi se aansu aahen aangan aangan hain inhi se qatl-e-am hua aashaon ka inhi se viran ummidon ka gulshan hai bhuk nang sab den inhi ki hai logo bhul ke bhi mat in se arz-e-haal karo jine ka haq samraj ne chhin liya uttho marne ka haq istimal karo subh-o-sham filistin mein khun bahta hai saya-e-marg mein kab se insan rahta hai band karo ye bawardi ghunda-gardi baat ye ab to ek zamana kahta hai zulm ke hote amn kahan mumkin yaro ise mita kar jag mein amn bahaal karo jine ka haq samraj ne chhin liya uttho marne ka haq istimal karo