walima KHatm hone ke baad

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
khuda jaane
bulawe thik se bante nahin ladke ne
ya mujh se
purani dushmani koi nikali hai gali walon ne mere


na aa kar
jo khana bach gaya itna
ba-har-surat mujhe kya farq padta hai
wo jis ko sans ka aazar ho


us ko bhala zarde se biryani se kya matlab
kahin banto ise meri bala se
magar jo lakdiyan tandur ki baqi bachi hain
ye kahin par dhyan se rakh do


isi jade mein mumkin hai tumhein in ki zarurat ho
na jaane kyon
hamesha se mujhe lagta hai meri maut ke din
raat ko kohra bahut hoga


82010 viewsnazmEnglish