waqai jhuTh tha kya

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
baat sun kar meri wo hansa
to mujhe bhi laga baat hansne ki hai
khair achchha hua
warna main zindagi bhar kisi jhuth ko jita rahta


magar kaun sa jhuth
wo rona tadapna mera waqa'i jhuth tha kya
to phir kis natije pe pohncha hun main
sirf itna hi shayad


ki main aaj ye jaanta hun
kisi ko samajhne parakhne ka koi wazifa nahin
bas wahi baat jo
lab talak aa na pae latifa nahin


99121 viewsnazmEnglish