watan ka rag

By afsar-merathiOctober 23, 2020
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
har rut har mausam is ka kaisa pyara pyara hai
kaisa suhana kaisa sundar pyara desh hamara hai
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai


bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
sare jag ke pahad mein be-misl pahad himala hai
parbat sab se uncha hai ye parbat sab se nirala hai
bhaarat ki raksha karta hai ye bhaarat ka rakhwala hai


lakhon chashme bahte hain ye lakhon nadiyon wala hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
ganga-ji ki pyari lahren git sunati jati hain
sadiyon ki tahzib hamari yaad dilati jati hain


bhaarat ke gulzaron ko sarsabz banati jati hain
kheton ko hariyali deti phul khilati jati hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
kirshn ki bansi ne phunki hai ruh hamari jaanon mein


gautam ki aawaz basi hai mahlon mein maidanon mein
'chishti' ne jo mai di thi wo ab tak hai paimanon mein
'nanak' ki talim abhi tak gunj rahi hai kanon mein
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai


mazhab kuchh ho hindi hain hum sare bhai bhai hain
hindu hain ya muslim hain ya sukh hain ya isai hain
prem ne sab ko ek kiya hai prem ke hum shaidai hain
bhaarat nam ke aashiq hain hum bhaarat ke shaidai hain


bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
81217 viewsnazmEnglish