bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai har rut har ek mausam is ka kaisa pyara pyara hai kaisa suhana kaisa sundar pyara des hamara hai dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai sare jag ke pahadon mein be-misl pahad himala hai parbat sab se uncha hai ye parbat sab se nirala hai bhaarat ki rakhsha karta hai bhaarat ka rakhwala hai lakhon chashme bahte hain is mein lakhon nadiyon wala hai bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai ganga-ji ki pyari lahren git sunati jati hain sadiyon ki tahzib hamari yaad dilati jati hain bhaarat ki gulzaron ko sarsabz banati jati hain kheton ko hariyali deti phul khilati jati hain bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai hare-bhare hain khet hamare duniya ko an dete hain chandi sone ki kanon se hum jag ko dhan dete hain prem ke pyare phul ki khushbu gulshan gulshan dete hain amn-o-aman ki neamat sab ko bhar bhar daman dete hain bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai 'krishn' ki bansi ne phunki hai ruh hamari jaanon mein 'gautam' ki aawaz basi hai mahlon mein maidanon mein 'chishti' ne jo di thi mai wo ab tak hai paimanon mein 'nanak' ki talim abhi tak gunj rahi hai kanon mein bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai mazhab kuchh ho hindi hain hum sare bhai bhai hain hindu hain ya muslim hain ya sikh hain ya isai hain prem ne sab ko ek kiya hai prem ke hum shaidai hain bhaarat nam ke aashiq hain hum bhaarat ke saudai hain bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai