koi hai koi baghdad ki fariyaad sunta hai koi hoga jise aawaz aati ho kisi dushman ke tapon ki dhamakon ki iraqi kokh ko yun raundte hain tank dushman ke ki zakhm khun thukne lage baghdadi badan ke furaat-o-dajla ke pani ko kis ne khak kar dala ki dushman ne meri jannat ko bhi napak kar dala alf-laila shahzadi ke kapde phad dale hain farangi ne mere bachpan ke qisse phad dale hain badan jalte hue bachchon ki ye bujhti hui aankhen iraqi aasman se sar utha kar bas yahi puchhen ababilen utarti kyun nahin dikhtin zaminon par hamare dushmanon ke sard sinon par wo bachche jaante kab hain ababilen shahr se dur apne ghonslon mein sair ho kar nind mein gum hain wo bachche jaante kab hain ababilen ababilen nahin hain main aur tum hain wo bachche jaante kab hain ki un ke khun ke qatre hamari sarhadon tak aate aate sukh jate hain hamari had hai aur sarhad bhi hai hakim ke hukm se khuda ka hukm hai chhota yahan zalim ke hukm se sharabon mein dubo di hain mere hakim ne shamshiren jila di hain sabhi aaba ki taswiren musalmanon ki taqdiren mere bachcho mere baghdad ke sine pe pade adh-mare bachcho koi isa na aaega masihai koi le kar tumhaari hum se jo ummid hai wo be-samar hai hamari apni zamin hai hamara apna bhi ghar hai tumhaari aas andhi hai tumhaara khwab kala hai hamare daur ki mariyam ne isa mar dala hai