ye watan teri meri nasl ki jagir nahin sainkadon naslon ki mehnat ne sanwara hai ise kitne zehnon ka lahu kitni nigahon ka araq kitne chehron ki haya kitni jabinon ki shafaq khak ki nazr hui tab ye nazare bikhre pattharon se ye tarashe hue asnam-e-jawan ye sadaon ke kham-o-pech ye rangon ki zaban chimniyon se ye nikalta hua pur-pech dhuan teri takhliq nahin hai meri takhliq nahin hum agar zid bhi karen us pe to tasdiq nahin ilm suli pe chadha tab kahin takhmina bana zahr sadiyon ne piya tab kahin naushina bana sainkadon panw kate tab kahin ek zina bana tere qadmon ke tale ya mere qadmon ke tale nau-e-insan ke shab-o-roz ki taqdir nahin ye watan teri meri nasl ki jagir nahin sainkadon naslon ki mehnat ne sanwara hai ise tera gham kuchh bhi sahi mera alam kuchh bhi sahi ahl-e-sarwat ki siyasat ka sitam kuchh bhi sahi kal ki naslen bhi koi chiz hain hum kuchh bhi sahi un ka wirsa hun khandar ye sitam ijad na kar teri takhliq nahin tu ise barbaad na kar jis se dahqan ko rozi nahin milne pati main na dunga tujhe wo khet jalane ka sabaq fasl baqi hai to taqsim badal sakti hai fasl ki khak se kya mangega jamhur ka haq pal salamat hai to tu par utar sakta hai chahe tabligh baghawat ke liye hi utre warna 'ghaalib' ki zaban mein mere hamdam mere dost dam har mauj mein hai halqa-e-sad-kaam-e-nahang soch le phir koi tamir girane jaana teri tamir se hai jang ki takhrib se jang ahal-e-mansab hain ghalat-kar to un ke mansab teri taid se dhaale gae to mujrim hai meri taid se dhaale gae main mujrim hun patriyan rail ki sadkon ki basen phone ke tar teri aur meri khataon ki saza kyun bugten un pe kyun zulm ho jin ki koi taqsir nahin ye watan teri meri nasl ki jagir nahin sainkadon naslon ki mehnat ne sanwara hai ise tera shikwa bhi baja meri shikayat bhi durust rang-e-mahaul badalne ki zarurat bhi durust kaun kahta hai ki haalat pe tanqid na kar hukmaranon ke ghalat dawon ki tardid na kar tujh ko izhaar-e-khayalat ka haq hasil hai aur ye haq koi tarikh ki khairaat nahin tere aur mere rafiqon ne lahu de de kar zulm ki khak mein is haq ka shajar boya tha salha-sal mein jo barg-o-samar laya hai apna haq mang magar un ke taawun se na mang jo tere haq ka tasawwur hi fana kar dalen hath utha apne magar un ke jilau mein na utha jo tere hath tere tan se juda kar dalen khwab-e-azadi insan ki ye tabir nahin ye watan teri meri nasl ki jagir nahin sainkadon naslon ki mehnat ne sanwara hai use