hamari dastanon mein tumhaari dastanen mil hi jati hain hamein sab yaad hai wo ek ek manzar jise in mausamon ne ragni hona sikhaya tha jinhen hum dur ki wadi mein pichhe chhod aae the magar ek aarzu ban kar wahi wadi wahi manzar taaqub mein hai khwabon mein mahakte raaz afshan hain pighalti barf ke andar chanaben tutne ki muntazir hain ab bhi sahra mein hawaen gungunati hain wo pawan rag maddham se yahi punjab ki dharti jahan ek hir aur ranjhe ka waris main tan-e-tanha faqat main