mud kar pichhe dekh rahi hun kya kya kuchh wirse mein mila tha aur kya kuchh main chhod rahi hun mera ghar tufan-zada tha mere buzurgon ne dekha tha wo ifrit-e-waqt ki jis ne un se sab kuchh chhin liya tha phir bhi kya kuchh mujh ko mila tha chehron par mehnat ki chamak thi aankhon mein ghairat ki damak thi hath mein hath dhare the kaise khali hath bhare the kaise mil-jul kar rahne ki rawish thi zinda rahne ki khwahish thi ye sab kuchh us ghar se mila tha wo ghar jo ek khali ghar tha main ne ek bhare kumbe mein apne hanste-baste ghar mein khauf ka wirsa chhod diya hai rishta-e-jurat tod diya hai lahjon mein lafzon ki bachat hai qurbat mein kitni wahshat hai apni khushiyan apne aangan apne khilaune apne daman mud kar pichhe dekh rahi hun kya kya kuchh wirsa mein mila tha aur kya kuchh main chhod rahi hun