hayat ek hairat se phaili hui aankh hai jis ki palkon ko baham mile muddaten ho chuki hain qarnon se yunhi musalsal khalaon mein takti chali ja rahi hai manazir nigalti chali ja rahi hai kahin dur hairat se phaili hui aankh ke par chehra hai be-khal be-chashm be-ant chehra chehre ke masum marmar se rukhsar par jagmagata hua ashk main hun hairat se phaili hui aankh ke chaak ko main rafu kar raha hun