ilahi khair wo har dam nai bedad karte hain hamin tohmat lagate hain jo hum fariyaad karte hain kabhi aazad karte hain kabhi bedad karte hain magar us par bhi hum sau ji se un ko yaad karte hain asiran-e-qafas se kash ye sayyaad kah deta raho aazad ho kar hum tumhein aazad karte hain raha karta hai ahl-e-gham ko kya kya intizar is ka ki dekhen wo dil-e-nashad ko kab shad karte hain ye kah kah kar basar ki umr hum ne qaid-e-ulfat mein wo ab aazad karte hain wo ab aazad karte hain sitam aisa nahin dekha jafa aisi nahin dekhi wo chup rahne ko kahte hain jo hum fariyaad karte hain ye baat achchhi nahin hoti ye baat achchhi nahin hoti hamein bekas samajh kar aap kyun barbaad karte hain koi bismil banata hai jo maqtal mein hamein 'bismil' to hum dar kar dabi aawaz se fariyaad karte hain