nai ruton ka mughanni nai sahar ka naqib bujhe dilon ka masiha wo tirgi ka raqib wo apne ahd ka cupid wo dewta fan ka wo somnat-e-mohabbat ka but-shikan kitne hadaf bana ke chale aur khud hadaf thahre wo apne ahd ka gautam wo sulh-e-kul ka samundar wo aashti ka jahan dukhon ki kahkashaen sajae aankhon mein rah-e-najat ki mashal jalae aankhon mein labon pe khanda-e-gul ki kiran damakti hui nazar sulagti hui diye jae hue gyan ke dhiyan ke dip shuur-e-zist ka wo rahguzar ujal gaya dagar pe fikr ki suraj naya uchhaal gaya dayar-e-husn ka mahram wo sahar-saz sarapa wo shakhsiyat ka jamal kisi khayal ka paikar kisi sanam ka khayal hai qaht-e-lafz-o-maani ka marhala darpesh qalam ko radd-e-rawani ka masala darpesh tilism-e-dida-e-bedar kah nahin sakta wo inqalab ka mutrib nai ruton ka mughanni nai sahar ka naqib janab-e-'faiz' mataa-e-hayat-o-harf-o-hunar zaban pe bare khudaya ye kis ka nam aaya ki mere nutq ne bose meri zaban ke liye