wo kitab-e-husn wo ilm o adab ki taliba wo mohazzab wo muaddab wo muqaddas rahiba kis qadar pairaya parwar aur kitni sada-kar kis qadar sanjida o khamosh kitni ba-waqar gesu-e-pur-kham sawad-e-dosh tak pahunche hue aur kuchh bikhre hue uljhe hue simte hue rang mein us ke azab-e-khirgi shamil nahin kaif-e-ehsasat ki afsurdagi shamil nahin wo mere aate hi us ki nukta-parwar khamushi jaise koi hur ban jae yakayak falsafi mujh pe kya khud apni fitrat par bhi wo khulti nahin aisi pur-asrar ladki main ne dekhi hi nahin dukhtaran-e-shahr ki hoti hai jab mahfil kahin wo taaruf ke liye aage kabhi badhti nahin