wo jo tujh se pahle ka zikr tha wo jo tujh se pahle ki rah thi kahin subh-e-zat luti hui kahin sham-e-ishq bujhi hui kahin dopahar rah-e-mandagan pe tani hui kahin chand pichhle visal ke kahin mehr subh-e-kamal ke kahin zulf-e-wasl-mizaj par tah-e-gard-e-hijr jami hui kahin aas thi kahin pyas thi kahin khushk halq mein tir tha kahin saeban jala hua kahin baadban mein chhed tha koi raaz tha koi bhed tha jise mukhbiron jise tajiron ne raqam kiya to kitab mein mera hukm mere khilaf tha mera 'adl meri nazir tha so haqir tha mera baadshah bhi faqir tha ye jo tere hone ka zikr hai jo tere zuhur ki baat hai meri baat hai mera 'ishq hai mera dard hai mere harf-o-saut ki zat hai meri rah par meri chhanw hai mere hat mein mera hat hai