wo kaenat wo aalam

By abid-almiOctober 6, 2022
tasawwuraat ki duniya ko dhundhta hun ki zist
tere taqazon ki had naqsha-e-jahan mein nahin
tujhe khabar hai ajal barha mere ghar se
meri udasi pe aansu baha ke laut gai


nahin ki mere muqaddar mein inqalab nahin
faqat ye teri tahi-damani hai jis ke tufail
tere tarashe hue but dayar-e-hasti mein
asir-e-ranj-o-gadai-nasib hain ab tak


tujhe ab apne tamashe pe naz hoga magar
tujhe khabar hai ye kam bais-e-malal nahin
malal tujh ko teri kam-nasibiyon pe fughan
agar khush aae to aae ki meri bazm-e-khayal


abhi jawan hai hasin hai aur aise aalam mein
ajab nahin ki meri chashm-e-fikr pa jae
wo kaenat wo aalam ki jis ko har lamha
nae-nawele dhundalke sanwara karte hain


62437 viewsnazmEnglish