wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain na koi khun ka rishta na koi sath sadiyon ka magar ehsas apnon sa wo anjaane dilate hain wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain khafa jab zindagi ho to wo aa ke tham lete hain rula deti hai jab duniya to aa kar muskuraate hain wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain akele raste pe jab main kho jaun to milte hain safar mushkil ho kitna bhi magar wo sath jate hain wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain nazar ke pas hon na hon magar phir bhi tasalli hai wahi mehman khwabon ke jo dil ke pas rahte hain wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain mujhe masrur karte hain wo lamhe aaj bhi 'irfan' ki jin mein doston ke sath ke pal yaad aate hain wo kaise log hote hain jinhen hum dost kahte hain