wo jis ke raste pe baal khole nagar ki sab ladkiyan khadi hain wo mar chuka hai wo mar chuka hai ki jis ki khatir nagar ki nau umr ladkiyon ne badan ki khush-rang zinaton ko chhupa ke rakkha jinhon ne betab hiddaton ko badan ki phat padti shiddaton ko sambhaale rakkha jinhon ne aankhon ke nam ko sharm-o-haya ke aanchal ki ot dhanpa wo mar chuka hai wo jis ke raste pe baal khole nagar ki sab ladkiyan khadi hain nagar ki sab ladkiyan pukaren badal ke wo bhes baadalon ka hamare taza kunware jismon ki sondhi mitti se aa ke lipte hamara khun bund bund gundhe hum is ke sae se hamila hun nagar ki sab ladkiyan pukaren kabhi wo gunje gajar ki surat hamare sunsan gumbadon mein kabhi wo bhadke alaw ban kar hamare ta yak taqchon mein kabhi wo jismon ki bansiyon mein shigaf dale laziz dardila git ban kar labon se nikle kabhi wo chamke sitara ban kar hamari kokhon mein phul mahken hamari kokhon mein phal janam le nagar ki sab ladkiyan pukaren nagar ki sab ladkiyan pukaren hamari khwahish wo dudh ban kar hamari zarkhez chhatiyon ki nami mein utre hamari khwahish hamare bachche usi ke hathon mein aankh kholin hum us ke sae se hamila hon nagar ki sab ladkiyan pukaren kabhi wo pichhle pahar darichon pe khulte mahtab se ye kahtin kahan hai wo shahsawar jis ko ba-waqt rukhsat gale mein hum ne safed phulon ke haar dale wo phul kab surkh phul ban kar hamari viran khwab-gahon ki sej honge sindur kab kab main main ga ye phul kab surkh phul honge kabhi wo tanha baramde ke sutun se lipti lachakti belon ke zard patton se puchhtin ye bahaar ki rut kahan khadi hai ye phul ab kis se khilenge bahaar ki rut abhi kahan hai har ek musafir ko roktin wo batao wo shahsawar ab kab nagar ko lautega puchhtin wo kunware lamhon ka bhed kunwara kunware giton ki lai kunwari kunware jismon ki kachchi kaliyon ka nam kunwara nagar ki tamam nau-umr ladkiyon ne kali kali ko sambhaale rakkha ki wo agar aae os ban kar to qatra qatra kali mein utre kali ko khole magar wo lafzon ke daeron ke safar se guzra purani sunsan sidhiyon ke bhanwar se nikla jo ghar se bahar hazar anjaane raston par bikhar gaya tha ki bujhte suraj ka khoj pae har ek sae ka bhed khole jo apni aankhon mein khwahishon ka alaw le kar andhere jangal mein chal raha tha jo puchhta tha gyan kiya hai jo puchhta tha najat kis mein hai asl kya hai wo mar chuka hai wo jis ke raste pe baal khole nagar ki sab ladkiyan khadi hain