1 wo subh kabhi to aaegi in kali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal dhalkega jab dukh ke baadal pighlenge jab sukh ka sagar chhalkega jab ambar jhum ke nachega jab dharti naghme gaegi wo subh kabhi to aaegi jis subh ki khatir jug jug se hum sab mar mar kar jite hain jis subh ke amrit ki dhun mein hum zahr ke pyale pite hain in bhuki pyasi ruhon par ek din to karam farmaegi wo subh kabhi to aaegi mana ki abhi tere mere armanon ki qimat kuchh bhi nahin mitti ka bhi hai kuchh mol magar insanon ki qimat kuchh bhi nahin insanon ki izzat jab jhute sikkon mein na tauli jaegi wo subh kabhi to aaegi daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaega chahat ko na kuchla jaega ghairat ko na becha jaega apne kale kartuton par jab ye duniya sharmaegi wo subh kabhi to aaegi bitenge kabhi to din aakhir ye bhuk ke aur bekari ke tutenge kabhi to but aakhir daulat ki ijara-dari ke jab ek anokhi duniya ki buniyaad uthai jaegi wo subh kabhi to aaegi majbur budhapa jab suni rahon ki dhul na phankega masum ladakpan jab gandi galiyon mein bhik na mangega haq mangne walon ko jis din suli na dikhai jaegi wo subh kabhi to aaegi faqon ki chitaon par jis din insan na jalae jaenge sinon ke dahakte dozakh mein arman na jalae jaenge ye narak se bhi gandi duniya jab sowarg banai jaegi wo subh kabhi to aaegi 2 wo subh hamin se aaegi jab dharti karwat badlegi jab qaid se qaidi chhutenge jab pap gharaunde phutenge jab zulm ke bandhan tutenge us subh ko hum hi laenge wo subh hamin se aaegi wo subh hamin se aaegi manhus samaji dhanchon mein jab zulm na pale jaenge jab hath na kate jaenge jab sar na uchhaale jaenge jailon ke bina jab duniya ki sarkar chalai jaegi wo subh hamin se aaegi sansar ke sare mehnat-kash kheton se milon se niklenge be-ghar be-dar be-bas insan tarik bilon se niklenge duniya amn aur khush-haali ke phulon se sajai jaegi wo subh hamin se aaegi