sare afkar-o-aqaed ke tilism sare asnam-e-khayal hum ne wo but-shikani ki hai ki mismar hain sab apne ghar bar ki mahfuz fasilen hum ne yun girai hain ki ab dur-o-nazdik ki har tund hawa sab charaghon ko bas ek phunk mein gul kar jae hum ki har silsila-o-qaid ki zanjir se aazad hue aise majlis ke makin hain ki jahan koi darwaza koi rauzan-e-diwar nahin ya khuda koi gham aisa ki har gham ko subuksar kare koi aag aisi ki har aag ko khashak kare koi mafhum koi naqsh-e-tamanna ki jise apne dil-o-jaan ka lahu nazr karun surkh-ru ho ke kahun zist ki ye mohlat do-ek nafas itni be-rang na thi itni faromaya na thi