yaad-e-mazi

By abdul-qayyum-zaki-aurangabadiFebruary 25, 2024
wo 'ahd-e-guzishta ka dilkash fasana
gaya chhut hum se wo rangin zamana
umangen jawani ki wo walihana
kisi shokh ka hae wo aana jaana


wo hans hans ke bijli girana kisi ka
jamal-e-munawwar dikhana kisi ka
wo chhup-chhup ke gulshan mein aana kisi ka
wo nazron se bijli girana kisi ka


bigad kar wo aankhen dikhana kisi ka
shararat se mujh ko girana kisi ka
kabhi ruth jaana kabhi man bhi jaana
kabhi munh chidana kabhi muskurana


wo makhmur aankhen wo husn-e-jawani
tapakti ho jis se mai-e-arghawani
wo dilkash nigahen wo shirin-bayani
wo lutf-e-musalsal shab-e-shadmani


wo pur-lutf sohbat wo pur-kaif naghme
ubalte the jis se masarrat ke chashme
wo sine se mujh ko lagana kisi ka
shararat se wo gudgudana kisi ka


wo ghusse ki surat banana kisi ka
wo munh pher kar muskurana kisi ka
shab-e-mah mein hae wo daur-e-saghar
wo saqi ka rangin jamal-e-munawwar


wo tirchhi nigahen wo rangin adaen
ki bad-mast ho jaen jin se fazaen
wo abr-e-mohabbat ki dilkash ghataen
'zaki' ab kahan ahd-e-rangin wo paen


13831 viewsnazmEnglish