yaaden
By bazm-ansariFebruary 5, 2024
mahfuz hain yaadon mein abhi tak wo ba-tadrij
dohraata hai ab tak wo fasane dil-e-nakaam
aaghaz-e-mohabbat ke wo bite hue lamhat
wo hashr-ba-dil sa’at-e-didar ka hangam
wo sarw-o-sanobar ki tarah qamat-e-zeba
simab ki manind wo raftar ka 'alam
lahje mein wo andaz nasim-e-sahari ka
wo phul ki surat lab-o-rukhsar ka 'alam
hai yaad tujhe bhi ki nahin ai meri mahbub
jab baam se utra tha tere husn ka khurshid
wo arz-e-tamanna pe tere dil ka dhdakna
wo nichi nazar se mere jazbaat ki taid
wo waqt bhi hai yaad ham-ahang the do dil
khamosh nigahon se tha iqrar wafa ka
aaya nahin go lafz mohabbat ka zaban par
har baat se hone laga izhaar wafa ka
phir tujh se juda ho ke guzare hain wo din bhi
wo bhi dil-e-betab ne dekhe hain zamane
kya kya tere didar ko tarsi hain nigahen
kya kya na mulaqat ke dhunde hain bahane
tanhai mein har shab wo sajai hui mahfil
wo tere tasawwur mein guzari hui raaten
khushbu ka teri zikr-e-hasin baad-e-saba se
wo chand sitaron se tere husn ki baaten
phir dam se tere ye dil-e-viran hua aabaad
phir teri rifaqat ne kai chhed diye saz
duniya ko magar kab thi gawara ye rifaqat
ab dagh-e-judai hai faqat hamdam-o-dam-saz
dil aaj tatola hai to ye 'uqda khula hai
sach ye hai ki main ne tujhe chaha hi nahin tha
kuchh is mein mera zauq-e-parastish bhi tha shamil
puja tha tujhe sirf saraha hi nahin tha

68137 viewsnazm • English