yahan dildar-begam dafn hai

By zehra-nigaahDecember 10, 2020
ek an-jaana sa dar
jab wo paida hui thi
us ke andar jazb tha
ek andheri kothari ka khauf


rag rag mein basa tha
ek unchai se gir jaane ki dahshat
pichhe pichhe chal rahi thi
ek darwaze ke pichhe ja ke chhup jaane ka shauq


zindagi ki sab se pahli aarzu thi
khidkiyon ki ot se galiyon ka manzar dekhna
zindagi ki sab se pahli justuju thi
jab zara sa waqt guzra


aql ke taron ki jumbish se badan jaga
hifazat ka tasawwur is qadar wahshat-zada tha
ki apne jism se sharmindagi hoti rahi
phir kharidaron ki duniya mein zara sun-gun hui


dil dhadakne ki sada madum ho kar rah gai
khauf ke gahne saja kar
aur jhijak ke be-tahasha phul pahna kar
kharidaron ne us ko phir se andhi kothari mein qaid kar dala


wo jis ka khauf wo bachpan se sahti aa rahi thi
phir zara sa hosh aaya
daur-e-nau-umri gaya to aankh se parda hata
manzar nazar aane lage


panw chaukhat ki taraf badhne lage
ek qadam rakkha hi tha ki nanhe nanhe hath ek zanjir ban kar aa gae
ab wo is raste mein hai sab jis ko rah-e-marg kahte hain
munjamid aankhon mein ab manzar thaharte hi nahin


ab kisi chaukhat ki jaanib panw badhte hi nahin
nanhe nanhe hath kuchh is tarah unche ho gae
ab dastaras se dur hain
apni zanjiron mein khud mahsur hain


us ki andhi kothari par ek katba nasb hai
is jagah dildar-begam dafn hai
wo afifa parsa sabir-o-shakir so rahi hai
yahan se ghair mardon ka guzarna mana hai


barae fatiha jo aana chahe aae
lekin dur se padh le
57600 viewsnazmEnglish