ye may ki pahli, din hai banda-e-mazdur ka muddaton ke baad dekha is ne jalwa hur ka ye jo rishta-dar tha hum sab ka lekin dur ka mill ke malik ne ise rutba diya mansur ka jab lagaya haq ka nara dar par khincha gaya nakhl-e-sanat is ke khun ki dhaar par sincha gaya aaj labour-union mein shadmani aai hai aaj mazduron ko yaad apni jawani aai hai mil ke malik ko magar yaad apni nani aai hai ya ilahi kya bala-e-asmani aai hai sunte hain mazdur se malik ka mohra pit gaya ek ja harf-e-wafa likkha tha wo bhi mit gaya hota hai 'may-day' ka aur 'may-poll' ka jab intizam nachte hain bans ke gird aa ke europi awam lekin ab nachega wo zalim ki jo hai bad-lagam bans ke bal par dikhae jaise bandar apna kaam wo jo pahle tha kabhi bandar madari ban gaya yani mazdur afsar-e-sarmaya-kari ban gaya baz aise the jo sarmae ke thekedar the kahte the mazdur ko khar aur khud khar-kar the chor-bazari ki jad the aur bade bat-mar the nafa-khori ke siwa har kaam se bezar the ab halaq mein un ke jo khaya atak kar jaega ghair-mulkon mein na sarmaya bhatak kar jaega puchho in sarmaya-daron se ki kab jagoge tum ya yunhi pite rahoge be-murawwat mai ke khum dekho har sal aaegi mah-e-may ki ye yakum sunte hain sidhi nahin hoti kabhi kutte ki dum tum magar rakhte ho ek insan ki nok aur palak be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak qabil-e-izzat hain is duniya ke mehnat-kash awam mulk ki daulat hain ye, wajib hai in ka ehtiram us ke ye member hain labour-union hai jis ka nam in ki mehnat ke diye jaenge in ko pure dam ye nahin hoga khafa ho kar dihadi kat di aadhe raste lae aur engine se gadi kat di