barbat-e-dil ke tar tut gae hain zamin-bos rahaton ke mahal mit gae qissa-ha-e-fikr-o-amal! bazm-e-hasti ke jam phut gae chhin gaya kaif-e-kausar-o-tasnim zahmat-e-girya-o-buka be-sud shikwa-e-bakht-e-na-rasa be-sud ho chuka khatm rahmaton ka nuzul band hai muddaton se bab-e-qubul be-niyaz-e-dua hai rabb-e-karim bujh gai sham-e-arzu-e-jamil yaad baqi hai be-kasi ki dalil intaza-e-fuzul rahne de raaz-e-ulfat nibahane wale bar-e-gham se karahne wale kawish-e-be-husul rahne de