ye basti meri basti hai

jahan main hun
yahan jab raat hoti hai

to us sahil pe suraj nur barsata hai
jis ki ek ek mauj-e-rawan ke sath

mera dil dhadakta tha dhadakta hai
ye mera shahr ye meri gali mera mohalla hai

jo mera bas chale
main is gali ki dhul palkon se utha lun

chum lun is mein naha lun
odh lun is ko bichha lun

aur is mein dafn ho jaun
ye ujli dhul jis mein meri yaadon ke

hazaron rang raqsan hain
jahan ab bhi mera bachpan

sunahri taziyon ke panniyon se
aur rawasan ke darakhton se

mujhe aawaz deta hai
wo kahta hai yahan aao idhar dekho

abhi tak ye mohalla pahle jaisa hai
yahan rangin tyauhaaron ke pairahan mein

insani talluq ke sabhi jazbe
tawazun se abhi tak ek se mausam mein thahre hain

yahan par gyarahwin ke chand ki ab bhi wahi raunaq hai
rangin shamiyanon aur chitti chandni par dur tak

qawwaliyon ki ruh-afza lahr ki wo itr-samani abhi bhi hai
wahi dhalti hui shab aur wahi baad-e-saba ke dosh par

khwaja ke diwanon ki aawazon ki sarmasti
wahi khwaja mere khwaja muinuddin ki gardan

usi gardan mein allah jaane kaisa jadu tha
ki ab tak hafize se us ki shirini nahin jati

yahan mah-e-muharram ki numudari pe yaksan josh se
faruq-o-haidar aaisha-o-fatima mil kar

sabilen ab bhi nanhe-munne hathon se lagate hain
wo mitti ke ghadon par surkh gabis mal ke

un ko rahguzar par ek si tartib se ab bhi sajate hain
sabilen surkh kapdon se muzayyan jagmagati hain

har ek pyase ko rasta rok kar pani pilati hain
yahan usman baba wala uncha taziya ab bhi khada hota hai

jis ki jhilmilahat mere andar aise raqsan hai
ki us ki khirgi se ruh tak meri munawwar hai

mere andar jo hai ek dard ki nannhi si lau raushan
usi aawaz ki baalidgi ka ek partaw hai

mere usman baba ki wo ashkon se dhuli aawaz
nau ki raat ko jo wo shahadat-nama padhta tha

gham-e-shabbir ka ye soz us par khatm tha goya
ajab kirdar tha usman baba ka

har ek bachcha tha us ka sar-chadha wo chahe jis ka ho
sakina marwi se le ke

wo galiyon mein jhadu dene wale
apne joseph das ka ladka talak us ka chahita tha

ajab fihrist thi us ki ki us fihrist mein koi
na gora tha na kala tha na uncha tha na nicha tha

hamare us mohalle mein
khuda ke fazl se har samt dheron dher bachche the

kabhi aisa bhi hota tha ki sab usman baba par
achanak sath hi yalghaar karte the

magar phir bhi barabar se
na jaane kis tarah hum sab mein wo jangal jalebi bant deta tha

hamare us mohalle mein kai kirdar the jin mein
wo gahri gahri kali aankhon aur shishe ki jhilmil odhni wali

sakina marwi meri saheli thi
wo man ke sath patri par se pine ka pani lene aati thi

hamare ghar ke aur maler ke us khet ke mabain
ye ek rail ki patri khat-e-tansikh thi goya

sakina marwi bhi kya ajab ladki thi
jo meri zaban se aur main jis ki zaban se na-balad thi

phir bhi jaane kis tarah shir-o-shakar the hum
hamari chhoti chhoti khwahishen har taur ham-ahang thin itni

ba-zahir to hamare darmiyan
mahaul ne ek be-zarurat hadd-e-fasil khinch rakkhi thi

magar phir bhi na jaane kya kashish thi
khidkiyon ke us taraf se jhilmilati

marwi ki kali aankhon mein
na jaane kaun sa jadu tha un zalim dopahron mein

jo kachchi nind sota chhod kar man ko dabe qadmon
mein aa chhupti thi pedon mein

ajab be-khauf mausam the
hum aksar bagh se ek sath hi

amrud ki chori mein pakde ja chuke the par
samajh mein ye nahin aata

ki mali ki har ek gali har ek patthar
akeli marwi hi ke liye makhsus tha kyunkar

hamare is mohalle ke sire par aakhiri ghar mae ka tha
yun to kahlati thi mae bohad wali

lekin us ke ghar ke aangan mein faqat ek nim hota tha
koi jab puchhta mae se wajh-e-tasmiya is nam ki

to wo bahut dhire se hansti aur kahti thi
aji wo bad ka uncha ped to main hun

kabhi hansti hui aankhon mein us ki jhank kar dekho
to lagta tha chhalak utthengi par itna hi kahti thi

kabhi lahore dekha hai
miyan wali se guzre ho

nahin dekhe agar ye shahr to kya khak dekha tum ne duniya mein
kabhi lahore se guzro to thodi der ko ruk kar

mohalla bohad wala chauk mein mera kisi se nam le dena
miyan wali ko jaana ho

to wan diwar par baithe hue kaga se
meri man ka aur pyo ka zara ahwal le lena

wo phir se hansne lagti thi
jagat man thi wo

so chhota bada har koi us ko mae hi kah kar bulata tha
sawere hi sawere mae ke hathon ke

un muli bhare khasta parathon ke bina
kab sardiyon ka lutf aata tha

gulabi jade aate hi
chhaton par mukhtalif dalon ki badiyan sukhne lagtin

zara khunki badhi aur til ke laddu le ke mae aa pahunchti thi
haqiqat mein wo bad ka ped thi jis ki ghani chhaya

thi sab ke waste yaksan
mera bachpan bulata hai to mujh ko yaad aata hai

us aabaadi mein aur us rail ki patri mein jo bhi fasla tha
us ko khud-rau jhadiyon ne dhanp rakkha tha

magar aksar yahan par sal pichhe aisa hota tha
ki hum school jaane ko sawere ghar se nikle to

thithuk jate the pal bhar ko
hum aankhen mal ke phir se dekhte jangal mein mangal hai

wo khud-raw jhadiyan hum jin mein titli bhi pakadne ko agar jate
to zakhmi ho ke aate the

wo raaton raat chhat ke taur aur diwar ki surat
khadi dikhlai deti thin

ye sab banjaron ke hi khurdure hathon ki barakat thi
ki khar-o-khas ko bhi chhu len to wo us ko chaman kar den

jahan gardun ke chhote chhote ye tole
hazaron sal se gardish mein hain

aur kitni tahzibon ke jangal se ye guzre hain
magar apni alag tarikh aur tahzib rakhte hain

ye apne nain apne naqsh aur aawaz ka jadu
na jaane kaun sa qanun hai jis ke tahat

naslon ki aur tahzib ki yalghaar se yaksar bachae hain
jo un mein jhank kar dekho to tah-dar-tah

hazaron rang the chhoti si duniya mein
mera mamul tha school se aate hue aksar

thahar kar dekhti thi us nai duniya ke hangame
sunahri jhadiyon ke bich pile phul hanste the

wo chhote chhote se
bakri ke bachchon ke gale mein ghantiyon ka shor

aur wo murghiyon ka aur baton ka
paron ko phadphadana aisa lagta tha

farishte baat karte hain
hasin aankhon sunahri chotiyon wali

yahan chhoti si jugni khelne ki umr mein
mitti ke hathi aur ghode mein

jo mehnat ke anokhe rang bharti thi
meri aankhon ne phir waise khilaune hi nahin dekhe

wo gati thi to lagta tha koi dil khinche leta hai
wo man ke sath ham-awaz hoti thi

bula lo ya-rasulullah
hamein bhi apne roze par bula lo ya-rasulullah

wo sar-ta-pa faqat aawaz thi ya bansuri koi
ye chhota sa mohalla kya tha ek rangin duniya thi

jahan par mausamon ki sakhtiyon mein bhi anokha husn hota tha
hamesha sardiyon ki raat mein

sondhi sunahri mung-phaliyon aur chilghozon ke thele tak
khirad gul-khair ki aawaz hum ko bistaraon se khinch lati thi

gulabon mein basi wo rewediyan
aur bhobhal mein dabi mithi shakar-qandi

shakar-qandi to az khud hai shakar-qandi
magar wo shai ki jis ko zaiqa kahte hain

wo dar-asl thi tasir mitti ki
wo sain allah dino ke hare amrud

lala shyam ki qulfi malai
aur dere waliyon ke mittiyon ke hathi ghode

dugdugi pankhe khilaune aur ghubbare
sabhi mein rang the kitne

yahan mitti ke chhote se khilaune mein bhi
nanha sa humakta dil dhadakta tha

yahan kathi ke ghode ki udanen aasman tak thin
mujhe jab yaad aati hai

to diwana sa kar deti hai wo khushbu rawasan ki
wahi maler ke kheton ki albeli hawa

amrud aur shahtut ke pedon ki wo shakhen
ki jin par mere bachpan ka basera tha

wo kanton ki sunahri jhadiyan
main jin mein aksar apni aankhen bhul aati thi

wo masjid jis ki chhoti chhoti diwaron pe
bachche daude phirte the

jis ke farsh par tadke ke jaisa nur tha
thandak thi aur aasudgi har-su

jahan dar par khade chhitnar gular par
rupahli champai aur kasni pariyan utarti thin

kabhi quran padhte padhte hum gular ki pariyon ke tasawwur mein
zara sa rehl par bas ek jhapki le ke

pariyon se gale mil ke
palat aate the wapas maulwi sahab ki qamchi se

musalsal ta'ziyon ki panniyon se aur masjid ki munderon se
musalsal haidar-o-faruq ki rangin sabilon se

sakina marwi ki odhni mein jhilmilate nanhe shishon se
wo jugni wale chhote lal mitti ke khilaunon se

rawasan ke darakhton se
mera bachpan mujhe aawaz deta hai

wo kahta hai abhi tak ye mohalla pahle jaisa hai
ye mumkin hai main us ki man bhi leti

magar main ne abhi jo hosh ki aankhon se dekha hai
wo manzar aur hi kuchh kah raha hai majra kya hai

wahi kirdar hain sare wahi mera mohalla hai
wahi hain mere ham-joli har ek manus chehra hai

magar jo hai wo sahma hai
ye pedon ke bajae khauf ke sae mein baithe hain

ye bachche kaise bachche hain
musalsal guftugu ka in ke mehwar sirf goli hai

magar goli ke pichhe akhtar-o-anwar bhi ladte the
mujhe bhi achchhe lagte the bahut ye khushnuma kanche

ki jab rakh kar hatheli par use ek aankh se dekho
to khinch aate the kitne rang is nanhe se kanche mein

kabhi mahsus hota tha
ki hum ne ek hatheli par utha rakkhi hai ye duniya

ye sare barr-e-azam bahr-e-azam ab hamari dastaras mein hain
ajab qudrat ajab taskin ka ehsas hota tha

magar ye mere ham-joli
ye jis goli ki baaten kar rahe hain

is mein chingari hai aur barud ki bu hai
abhi bilkul abhi main ne khuli aankhon se dekha hai

ki manzar kaise badla hai
wahi masjid ka darwaza wahi hai ped gular ka

aur us gular ke niche
ek hasin aankhon sunahri chotiyon wali

wo ladki meri jugni thi
abhi bilkul abhi main ne khuli aankhon se dekha hai

ki us ka jism tukde tukde ho kar kaise bikhra hai
magar phaile hue hathon mein ek roti ka tukda hai

wo masjid ka muqaddas farsh us ke khun se bhiga hai
wo gular jis pe mere khwab ki pariyon ka dera tha

faqat aaseb lagta hai
dikhai kuchh nahin deta

lahu mein shor barpa hai
sunai kuchh nahin deta

jo dil par hath rakkho to
faqat itna hi kahta hai

wo isa chauk ho ya das manzil ka koi mandir
lohaari gate ho ya goth qasim ki koi basti

wo bab-ul-ilm ho ya masjid-e-siddiq-e-akbar ho
husain-abaad ho ya wo meri faruq nagri ho

jahan bhi goliyan chalti hain mere dil pe lagti hain
har ek wo ghar jahan matam bapa hai mera apna hai

ye jitna khun bhi ab tak baha hai mera apna hai
muqaddas khak par bikhre hue udhde hue aaza

junun ki aag mein jhulsa hua har lash ka chehra
agar pahchan mushkil ho to mera nam likh dena

ye aaza mere aaza hain
ye chehra mera chehra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close