ye hai sab jhuT magar taza KHabar

By mehdi-pratapgarhiFebruary 27, 2024
nannhi si chyunti ne lalkara hai ek hathi ko
log karte hain salam us ki jawan-mardi ko
ho agar 'azm jawan kuchh bhi nahin na-mumkin
han takabbur hi janam deta hai nakaami ko


hairat-angez yaqinan hai ye sara manzar
aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
sanp ke khauf se ek newla jhadi mein chhupa
kal jo tha sher nazar aata hai gidad jaisa


kaam hikmat bhi nahin aati hai be-himmat ki
sanp ne newle ko jhadi mein ghus kar mara
ma'rka nazron se aisa kabhi guzra na magar
aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar


dekho ma'muli parindon ne kiya hai ye kamal
murghiyan tang huin kar diya sab ne hadtal
kha gae le ke maza log sab un ke ande
nasl ab kaise chale samne un ke hai sawal


murghiyan baithi hain hadtal pe ta-hadd-e-nazar
aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar
ghas khata hua ek sher nazar aaya hai
ghol ne hirnon ke hairat se use dekha hai


us ko majbur kiya hai kisi bimari ne
gosht khane se hakimon ne use roka hai
hairat-angez nazar aata hai sara manzar
aaj ki taza khabar aaj ki taza khabar


86044 viewsnazmEnglish