ye sarae hai yahan kis ka thikana dhundo yan to aate hain musafir so chale jate hain han yahi nam tha kuchh aisa hi chehra-mohra yaad padta hai ki aaya tha musafir koi sune aangan mein phira karta tha tanha tanha kitni gahri thi nigahon ki udasi us ki log kahte the ki hoga koi aaseb-zada hum ne aisi bhi koi baat na dekhi us mein ye bhi himmat na hui pas bitha ke puchhen dil ye kahta tha koi dard ka mara hoga laut aaya hai jo aawaz na us ki pai jaane kis dar pe kise ja ke pukara hoga yan to har roz ki baaten hain ye jiten maten ye bhi chahat ke kisi khel mein haara hoga ek taswir kuchh aap se milti julti ek tahrir thi par us ka to qissa chhoden chand ghazlen thin ki likkhen kabhi likh kar katen sher achchhe the jo sun lo to kaleja thamo bas yahi mal musafir ka tha hum ne dekha jaane kis rah mein kis shakhs ne luta us ko guzra karte hain sulagte hue baqi ayyam log jab aag lagate hain bujhate bhi bhi nahin ajnabi pit ke maron se kasi ko kya kaam bastiyon wale kabhi naz uthate bhi nahin chhin lete hain kisi shakhs ke ji ka aaram phir bulate bhi nahin pas bithate bhi nahin ek din subh jo dekha to sarae mein na tha jaane kis des gaya hai wo diwana dhundo!! hum se puchho to na aaega wo jaane wala tum to nahaq ko bhatakne ka bahana dhundo yan to aaya jo musafir yun hi shab-bhar thahra ye sarae hai yahan kis ka thikana dhundo