yusuf-e-sani

By himayat-ali-shayarOctober 31, 2020
main chah-e-kanan mein zakhm-khurda pada hua hun
zamin mein zinda gada hua hun
koi mujhe is biradarana fareb ki qabr se nikale
mujhe kharide ki bech dale


ki chashm-e-yaqub to mere gham mein kal bhi giryan thi
aaj bhi hai
21875 viewsnazmEnglish