zabanon ka bosa

zabanon ke ras mein ye kaisi mahak hai
ye bosa ki jis se mohabbat ki sahba ki udti hai khushbu

ye bad-mast khushbu jo gahra ghunuda nasha la rahi hai
ye kaisa nasha hai

mere zehn ke reze reze mein ek aankh si khul gai hai
tum apni zaban mere munh mein rakhe jaise patal se meri jaan khinchte ho

ye bhiga hua garm o tarik bosa
amawas ki kali barasti hui raat jaise umadti chali aa rahi hai

kahin koi saat azal se ramida
meri ruh ke dasht mein ud rahi thi

wo saat qarin-tar chali aa rahi hai
mujhe aisa lagta hai

tarikiyon ke
larazte hue pul ko

main par karti chali ja rahi hun
ye pul khatm hone ko hai

aur ab
us ke aage

kahin raushni hai
deep kiss


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close