ek shab halki si jumbish mujhe mahsus hui main ye samjha mere shanon ko hilata hai koi aankh uthai to ye dekha ki zamin hilti hai jis jagah shai koi rakkhi hai wahin hilti hai sahn-o-diwar ki jumbish hai to dar hilte hain bahar aaya to ye dekha ki shajar hilte hain koi shai jumbish-e-paiham se nahin hai mahrum ek taqat hai pas-e-parda magar na-malum chand lamhe bhi ye nairangi-e-alam na rahi zalzala khatm hua jumbish-e-paiham na rahi hairat-e-did se angusht-ba-dandan tha main shahid-e-jalwa-e-qahhaari-e-yazdan tha main dafatan ek sada aah-o-fughan ki aai mere allah ye ghadi kis pe musibat lai gul kiya zalzala-e-qahr ne kis ghar ka charagh kis pe dhaya ye sitam kis ko diya hijr ka dagh ja ke nazdik ye nazzara-e-hirman dekha ek hasina ko ba-sad haal-e-pareshan dekha baizawi shakl mein the husn ke jalwe pinhan aankh mein sehr bhara tha magar aansu the rawan main ne ghabra ke ye puchha ki ye haalat kyun hai teri hasti hadaf-e-ranj-o-musibat kyun hai boli ai shaer-e-rangin-tabiat mat puchh roz-o-shab dil pe guzarti hai qayamat mat puchh log duniya ko teri mujh ko zamin kahte hain ahl-e-zar mujh ko mohabbat mein hasin kahte hain main unhin husn-paraston ki hun tadpai hui tujh se kahne ko ye raaz aai hun ghabrai hui zar-paraston se hain bad-dil meri duniya ke gharib hain giraftar-e-salasil meri duniya ke gharib mujh se ye taza balaen nahin dekhi jati zalimon ki ye jafaen nahin dekhi jatin chahti hun mere ushshaq mein kuchh farq na ho muft mein kashti-e-ehsas-e-wafa gharq na ho ek wo jis ko mayassar hon imaraat-o-naqib ek wo jis ko na ho phuns ka chhappar bhi nasib sahab-e-daulat-o-zi-rutba-o-zardar ho ek be-nawa gham-zada-o-bekas-o-lachaar ho ek ek mukhtar ho, aurang-e-jahanbani ka ek muraqqa ho gham-o-ranj-o-pareshani ka sakht nafrat hai mujhe apne parastaron se chhin lete hain mujhe mere talab-garon se chira-dasti ka mita deti hain sab jah-o-jalal haif-sad-haif ki hail hai gharibon ka khayal ye na hote to dikhati main qayamat ka saman ye na hote to mitati main ghurur-e-insan ek karwat mein badal deti nizam-e-alam ek ishaare hi mein ho jati hai ye mahfil barham ek tabassum se jahan barq-ba-daman hota na ye aaraishen hotin na ye saman hota har ada puchhti sarmaya-paraston ke mizaj kuchh to farmaiye hazrat ki hain kis haal mein aaj lakh-pati sankh-pati be-sar-o-saman hote jaan bach jae bas is baat ke khwahan hote barsar-e-khak nazar aate hain qasr-o-aiwan ashk-e-khunin se mere aur bhi uthte tufan meri aaghosh mein sab ahl-e-sitam aa jate mere bartaw se bas nak mein dam aa jate baz ke munh gham-e-alam se kale karti baz ko maut ki dewi ke hawale karti khun-e-zardar hi mazdur ki mazduri hai main jo khamosh hun ye bais-e-majburi hai meri aaghosh mein jabir bhi hain majbur bhi hain mere daman hi se wabasta ye mazdur bhi hain zabt karti hun jo gham aata hai sah jati hun josh aata hai magar kanp ke rah jati hun