zamin aur suraj

By mehdi-pratapgarhiFebruary 27, 2024
batate hain mere abbu ki gol hai duniya
khud apni kili pe chakkar lagati rahti hai
jo hissa aata hai suraj ke samne us ka
wahan pe hota hai din raushni bhi rahti hai


jo hissa dharti ka suraj ke samne na raha
andhera hota hai us samt raat hoti hai
jahan ho din wahan hota hai karobar-e-hayat
jahan ho raat wahan kaenat soti hai


na sirf ye ki zamin ghumti hai mehwar par
to pura karti hai chaubis ghanton mein chakkar
kamal ye hai ki suraj ke gird ghum ke bhi
ye pure sal mein karti hai ek kar-e-digar


isi nizam se mausam badalta rahta hai
kahin hai garmi to sardi kahin pe hoti hai
kahin bahaar khilati hai sabza-zaron mein gul
kahin baras ke ghata motiyan piroti hai


zamin ho chand ho tare hon ya ki suraj ho
khala mein tairte rahte hain sare sayyare
sanbhaale rahti hai ek dusre ko un ki kashish
tawil hai jo dagar us pe chalte hain sare


natija nikla yahi bahami ta’awun par
hai inhisar hamare nizam-e-shamsi ka
mila ke hath chalega agar bashar 'mehdi'
to husn aur bhi nikhrega apni dharti ka


62370 viewsnazmEnglish