zamin simaT kar mere talwe se aa lagi

ai tin chehron mein
raushan peshani wale

tera naqsh
paedar aur qadim hai

tu ne safed baizawi zindan se
bahar panw rakha

to zamin tere istiqbaal ke liye
maujud na thi

tu ne narm lahje mein
napaid samton ko aawaz di

aur apne chaaron aur phailne laga
tu ne kanwal ki pattiyon se

bichhauna takhliq kiya
aur apni zindagi ka awwalin khwab dekhne laga

ek azim duniya ki takhliq ka khwab
tu ne hawaon ko kat kar

aasmanon ki chadar banai
aur khaulte samundaron ki gahrai se

zamin ko bahar nikal laya
tu ne chutki-bhar raunaq

zamin ke chehre pe mil di
tu ne mere liye

surmai rang ka ghoda takhliq kiya
aur apne liye

safed batakh
zamin

simat kar mere talwe se aa lagi
to samundaron ki siyahat par

rawana ho gaya
ai azim bap

tere tirath ke muqaddas paniyon mein
taza jismon ke gulab mahakte hain

tu ne apne dhak ke sabz patton se
zamin ke liye saya banaya

aur tanhai ka sikka
samundar mein baha diya

tu ne apne liye saraswati takhliq ki
aur us ke pahlu se lipat kar

duniya ki mismari ka khwab dekhne laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close