badan mein na pahli si hiddat na dhadkan hai dil mein jiye jaane ki ek be-sharm aadat idhar kuchh dinon se nigahon mein apni subuk kar rahi hai hazaron bakhedon mein bhi jaane kab be-satr aa khadi hoti hai ye haqiqat to kya main bhi un an-ginat logon mein hun jinhen zindagi ek saza hai koi bad-dua hai magar ji rahe hain abhi kuchh dhuan sa nazar aa raha hai zara dhonkni se hawa de ke dekhen bura kya hai chingari do ek nikle bhabhak utthen phir sard padte angare