zamistan

By faisal-azeemJune 7, 2021
sakht saffak
khud mein simat kar chatakhti hui barf
aur munjamid jism-o-jaan
raat


jazbon ki qabron pe katbe ke manind atki hui
hath khurche hue sans ukhdi hui
lafz
goya samaat ke parde se takra ke chipke hue


barf par
chaar-o-na-chaar pairon ki jamti hui ungliyan
haddiyon ki daradon mein ghusti hawa
khun tak rah pane ki koshish mein


tuti fasilon pe yalghaar karti hui
dil baqa ke liye khud se ladta hua
khun pita hua aur ugalta hua
kaisa bohran hai dam nikalta nahin


sard mausam kisi taur talta nahin
jis qadar ho sake
girte pedon ki shakhen jalate raho
aag bujhne na do


43668 viewsnazmEnglish