zard patte

By rifat-saroshNovember 14, 2020
khizan ke patte gul-o-yasman ki wadi mein
uda ke lae hain baad-e-shimal ke tufan
ye zard patte hain yarqan-zada darakhton ke
ye zard patte hain madquq zindagi ke nishan


khizan ka saya na pad jae is gulistan par
uthao parcham-e-gul ai chaman ke matwalo
hawa ke rukh ko badal do bahaar ki maujo
uda do samt-e-mukhalif mein zard patton ko


27288 viewsnazmEnglish