zindabaad ai watan

By fazal-haq-azimabadiSeptember 2, 2023
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
tujh se aabaad hai zindagi ka chaman
tere uttar himala tera pasban
tere dakhkhin mein hai hind-sagar rawan


tere purab mein hai desh bangla jawan
tere pachchhim buhaira-arab nigahban
teri dharti pe bahti rahi gang-o-jaman
zindabaad ai watan zindabaad ai watan


tere sanche mein gautam sa insan dhala
teri dharti pe nanak bhi paida hua
teri aaghosh mein murli wala pala
tere gulshan mein islam phula-phala


tere pahlu mein sab hi rahe hain magan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
tujh pe bahuton ne aa kar hukumat bhi ki
saikdon ne bila-wajh nafrat bhi ki


kuchh to wo the jinhon ne shararat bhi ki
hain karodon jinhon ne mohabbat bhi ki
tujh pe qurban kyunkar na ho jaan-o-tan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan


tu bhagat singh ki aankhon ka tara bana
tipu sultan ka tu dulara bana
bose ka har qadam par sahaara bana
tu mohammad ali ka bhi pyara bana


jaan di par kisi ne na toda wachan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
god lena sada teri riti rahi
panj-shil aaj tak teri niti rahi


tujh se sachchai duniya mein jiti rahi
tujh se nagin sada dudh piti rahi
tujh se sikha ahinsa ka sab ne chalan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan


tujh pe gandhi jawahar ne rakkhi nazar
teri 'hasrat' 'tilak' ne sada li khabar
jaan de ke hue tujh pe lakhon amar
indara ne sanwara tha tujh ko magar


sab ne mil kar banaya hai tujh ko dulhan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
28781 viewsnazmEnglish