kya huin wahshaton ki jawan wadiyan main kahan tha tamannaon ke pasban ai dil-e-gham-zada main kahan aa gaya main ne chaha tha lekin na chaha tha yun inqalab itna afsurda itna hazin hae ai meri hasrat-zada justuju kyon teri kawishon ko zawal aa gaya mere qadmon se manus rah-e-junun ai faza ki tamanna-shikan khamushi kis tarah mud gai kis jagah kho gai kya hue aaj afkar ke karwan jin ke sae nigahon se manus the zulmaton ke dayaron ko kya ho gaya jin se thin aashna meri tanhaiyan dil kahan aarzuon ka madfan liye koi jae bhi aakhir to jae kahan mera josh-e-safar meri be-bakiyan wo bayaban-nawardi ki aazadiyan wo takhayyul ki ek kaenat-e-hasin wo tasawwur ka aalam wo sargoshiyan lamha lamha wo ghatte hue fasle meri raftar par naqsh-e-hairat bane manzilon ke fasurda-nazar silsile aaj kyon mere mazi ki taqdir hain aaj main hun jahan hai aur afsurdagi bazm-e-hasti ki nala-kunan mahfilen yas ki wadiyan dard ki majlisen har qadam par irada-shikan hadse har nazar mein alam-posh khamoshiyan aise ghamnak aalam mein ghabra ke phir kya tajjub agar aaj dil man le zindagani shikaston ka ambar hai