zindagi hamare liye kitna aasan kar di gai hai hum kisi bhi riayati farokht mein kitaben kapde jute hasil kar sakte hain jaisa ki gandum hamein imdadi qimat par muhayya ki jati hai agar hum chahen kisi bhi kar-khane ke darwaze se bachchon ke liye rad-karda biscuit kharid sakte hain tamam tayyaron rail-gadiyon bason mein hamare liye sasti nashishten rakhi jati hain agar hum chahen mamuli zarurat ki qimat par theater mein aakhiri qatar mein baith sakte hain hum kisi ko bhi yaad aa sakte hain jab use koi aur yaad na aa raha ho