zindagi se darte ho! zindagi to tum bhi ho zindagi to hum bhi hain! zindagi se darte ho? aadmi se darte ho? aadmi to tum bhi ho aadmi to hum bhi hain aadmi zaban bhi hai aadmi bayan bhi hai us se tum nahin darte! harf aur mani ke rishta-ha-e-ahan se aadmi hai wabasta aadmi ke daman se zindagi hai wabasta us se tum nahin darte an-kahi se darte ho jo abhi nahin aai us ghadi se darte ho us ghadi ki aamad ki aagahi se darte ho pahle bhi to guzre hain daur na-rasai ke be-riya khudai ke phir bhi ye samajhte ho hech aarzu-mandi ye shab-e-zaban-bandi hai rah-e-khuda-wandi tum magar ye kya jaano lab agar nahin hilte hath jag uthte hain hath jag uthte hain rah ka nishan ban kar nur ki zaban ban kar hath bol uthte hain subh ki azan ban kar raushni se darte ho raushni to tum bhi ho raushni to hum bhi hain raushni se darte ho shahr ki fasilon par dew ka jo saya tha pak ho gaya aakhir raat ka libaada bhi chaak ho gaya aakhir khak ho gaya aakhir izhdiham-e-insan se fard ki nawa aai zat ki sada aai rah-e-shauq mein jaise rah-rau ka khun lapke ek naya junun lapke aadmi chhalak utthe aadmi hanse dekho shahr phir base dekho tum abhi se darte ho? han abhi to tum bhi ho han abhi to hum bhi hain tum abhi se darte ho