‘ainakon ka saudagar
By badiuzzaman-khawarOctober 8, 2023
rakh ke sanduq niche khada ho gaya
bich raste mein wo
aasman ki taraf taktaki bandh kar
us ke atraf jab
bhid si lag gai
kya khala mein hai ye dekhne ke liye
sab ki nazren jab aakash par jam gain
wo jhuka
us ne sanduq wa kar diya
aur phir us ka byopar chalne laga
bich raste mein wo
aasman ki taraf taktaki bandh kar
us ke atraf jab
bhid si lag gai
kya khala mein hai ye dekhne ke liye
sab ki nazren jab aakash par jam gain
wo jhuka
us ne sanduq wa kar diya
aur phir us ka byopar chalne laga
60921 viewsnazm • English