duniya meri diwani hai surat jaani pahchani hai bin pairon ke chalta hun main kaghaz ka ek tukda hun main rang-birangi surat meri sab ke dil mein chahat meri duniya bhar mein paya jaun har mushkil mein sath nibhaun mazduron ka hun main pyara sahukar ki aankh ka tara bachcha bachcha mujh pe fida hai budhon ka dil mujh se laga hai duniya ka har kaam hai mujh se shohrat mujh se nam hai mujh se meri taqat jo aa jae nirbal ko balwan banae samajh mein aaya nam mera kya pahchana kuchh kaam mera kya